Watch For Free:
loading...

Mantriji ka sambodhan

Ek mantri ji Gaanv mein Sabha ko sambodhit karne jaa rahe the.

Gaanv ke pehle hi Unki Car ke neeche kutta aa gaya.
Kutta mar gaya aur saath hi Accident ke karan Car bhi kharab ho gayi.

Mantri ji ne driver ko gaanv walo ko madad ke liye bulane bheja!

Kareeb 2 ghante baad jab driver lauta, to uske gale mein dher saari malayein padi hui thi.

Mantri ji ne puchha: Tune aise kya kiya jo tera itna samman hua?
Driver bola:
Maine to sirf itna kaha tha ki..
Mantri ji ki car ka accident ho gaya hai… Kutta mar gaya!!

Mantriji ka sambodhan Mantriji ka sambodhan Reviewed by Rakesh Kumar on September 23, 2014 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.